How Much Protein Should a Gym Worker Take in 1 Day? Aaj hum is topic per baat karein gay, doston agar aap bhi gym jatay hain aur gym janay kay baad aap wahan achi exercise kartay hain to aap kay mind mein 1 question a sakta hai, kay aap ko pooray din mein taqreeban kitnay gram protein khaanay chahie?
Aaj mein aap ki tamaam confusion door karnay ja raha hon aur aap ko complete information kay sath bataonga kay agar aap dublay ya motay hain. Aap apna weight badhana ya kam karna chahtay hain, to apko 1 din mein kitna protein lena chahie, to aap ko is mein kitna protein lena chahie?
How Much Protein Should a Gym Worker Take in 1 Day?
Doston, agar hum normal insaan ki baat karein, to issay daily kitnay gram protein khaana chahie jis say iska jisam healthy rahay. Science kay mutabiq aap ko daily itnay he protein khaanay chahien jitna aap ka weight hai. Is say aap ka jisam healthy rahay ga.
Lekin agar hum gym janay walay logon ki baat karein aur agar aap daily gym jaien aur achi exercise karein, to aesi situation mein aap ko kitnay gram protein lena chahie takay aap kay jisam mein fat kum ho, to aaiye jaantay hain.
Doston, pooray din mein protein diet plan per depend karti hai. Aap kis type ka jisam chahtay hain.
Agar aap achay muscle chahtay hain to aap kay pait mein jinsi abs nazar a nay chahien. To is kay liye aap ko apnay BMR ka hisaab lagana hoga.
Is BMR ki basis per aap apnay jisam ka micro breakdown kar saktay hain. Takay daily aap ko maloom ho jai kay kitna carbohydrate lena hai, kitnay gram protein lena hai aur kitnay gram fat lena hai.
How to get BMR?
Agar aap BMR ka hisaab lagana nahi jantay hain to aap google per ja kar BMR calculator likh saktay hain. Aap ko pehlay link mein he mil jaiga. Is per ja kar, aap apnay weight, height likh kar apnay BMR ka hisaab laga saktay hain.
Wahan aap ko bataya jaiga kay aap ko daily kitni calories intake karte hain.
Aap in calories ki jo bhi value aaigi is ka micro breakdown kar saktay hain.Â
How many gm Protein should be eaten in 1 day?
Mein aap ko 1 idea batata hon, agar aap gym jatay hain aur bohat achi exercise kartay hain, to aap kay muscle toot jatay hain.
Is liye aap ko daily 150 say 200 gram protein khaana chahie.
Jiski wajah say aap kay muscle jald theek hojaien gay. Aur aap ko bohat acha result milay ga, aap ka size bhi badhay ga.
Wo log jo bohat dublay hain jo apna weight badhana chahtay hain, wo carbohydrates per ziada focus karein.
Matlab kay agar aap ka weight 70 kg hai, aap ki age 18 say 20 saal hai, to aap ko daily 3000 say 4000 calorie khaanay hain. To aap ka weight bohat taizi say badhay ga.
conclusion
Is article mein, hum nay aap ko bataya kay 1 gym mein exercise karnay walay ko 1 din mein kitna protein lena chahie?
Agar aap ko article pasand a ya to issay apnay doston kay sath zaroor share karein. Agar aap ko koi confusion hai to comment section mein zaroor bataein, Thank you.