Weight And Muscle Gain Foods - How To Make Slim Body Fit? Is article mein hum aap ko kuch aesay ghar kay banay khaanon kay baray mein bataein gay Jinko agar aap apni diet mein shamil kartay hain to aap ka weight aur aap kay muscles taizi say grow honay lagein gay.
Doston agar aap bohat dublay hain aur aap ka weight nahi badhta, apke friends apka mazak urate hain. Is liye ab aap ko parayshan honay ki zaroorat nahi hai. Hum aap ko aik aisay diet plan kay baray mein bataien gay, jisme use honay wali sari chezain apke ghar me easily available hongi.
Agar aap inhein apni daily life mein add karein gay to aap ka weight bhi increase hoga aur iske sath agar aap daily exercise bhi karein gay to aap kay muscles bhi grow hongay. Meray bataye huey diet plan se apki over all look per bohat positive impact paray ga aur aap kisi bhi function me sab se behtar nazar aaeingay.
How to make slim body fit?
Aaiye jaante hain, Weight and Muscle Gain Foods ke baray me. Doston bohat say aesay foods hain jinhay kha kar aap apna weight badha saktay hain. Lekin bekaar cheezein khaanay say aap kay jisam mein sirf fat increase hota hai. Jis say aap ka pait bahir a jata hai. Hum aap ko kuch behtareen foods bataein gay jin say aap ka poora jisam me muscles badhay gay aur aap ka weight bhi badhay ga.
Apnay jismani weight ko badhanay kay liye aap ko pehlay apnay jisam ki BMR value find karni hogi, Jo kay bohat asaan hai.
Aap apni body ki BMR value find karsakte hain BMR Calculator se, Ta kay aap ko maloom ho jai kay aap ko rozana kitni calories khaani hain, Jis say aap ka weight badhay.
Doston, dublay patlay logon ka weight na badhnay ki wajah ye hai kay inhein rozanaa jitni calories intake karte hain utni calories burn bhi karte hain jiski waja se unka weight increase nahi hota.
Agar hum apnay jisam ka weight badhana chahtay hain to is kay liye humein apni calories ki miqdaar mein izaafa karna hoga. Agar humein apna weight barqaraar rakhnay kay liye 2000 calories ki zaroorat hai.
To humein apna weight badhanay kay liye almost 3000 calories ko intake karna parayga.
Weight And Muscle Gain Foods
Ab hum aap ko kuch Weight and Muscle Gain Foods kay baray mein bata tay hain, Jisay agar aap apni diet mein shamil karein gay to aap ka weight taizi say badhay ga.
Doston, Neechay hum ne ko kuch khaanay peenay ki cheezon kay name likhay hain. Jinhein agar aap rozana apni diet me shamil karaingay to aap kay jisam mein ziada healthy calories janay ki waja se apka weight bhi increase hoga aur apke muscles bhi badhein gay.
- Protein Shakes
- Paneer (100gm Daily)
- Milk (500ml Daily)
- Soya Changs (50gm)
- Only 50gm
- Chane 30gm
- Peanut Butter 50gm Daily
- Sattu Powder
- 50ml Shudh Gee
Doston, Ye 8 khaanay ki cheezein hain, Jo aap kay ghar mein asaani say available hongi. jisay agar aap daily khaien gay to aap ka weight aur aap kay muscle bohat taizi say badhein gay.
Read More
Fast Weight Gain Shakes
1 gym mein exercise karnay walay ko 1 din mein kitna protein lena chahie?
Doston agar aap rozana in khaano ko apni diet me add kartay hain, To is kay sath exercise zaroor karein. Takay aap ki body shape bhi achi hojai.
Is article mein hum nay aap ko Weight and Muscle Gain Foods Kay baray mein bataya hai, agar aap ko ye article pasand a ya hai to apnay doston kay sath zaroor share karein, Thank you.